Meri Ammi ka ghar
Jis ghar me hum bahot laad pyar se bade hue
Humari har choti badi farmaish puri hua karti thi
Aaj apna woh ghar payara sa lagta hai Ammi
Main us ghar kaise jao jis ghar me Tum nahi ho Ammi.
Jis ghar me tumhara chehra dekh kar sabki subah hoti thi
Tumhari bholi baaton se sab haste khush hote the
Aaj us ghar me chupkar rone se darr lagta hai Ammi
Ab us ghar me hum kaise khush rahe jis ghar me Tum nahi ho Ammi .
Jis ghar me tumhare banaye khane ki khushboo meheka karti thi
Tum bhooki din bhar hamare school se aane ka intezaar kiya karti thi.
Ab tumhare sath baith kar khane ke liye hum taraste hain Ammi
Ab us ghar me hum kaise kuch khayein , jis ghar me tum nahi ho ammi
Jis ghar me hum raat ko sukoon se soya karte the
Tumhare sath der raat tak baatein kiya karte the
Aaj us ghar ki khamoshi se darr lagta hai Ammi
Ab us ghar mein Kaise néend ayegi jis ghar me Tum nahi ho Ammi.
Jis ghar me har din Eid sa mahol rehta tha
Mehmano ki har waqt mehfil jama karti thi
Aaj us ghar ke virane se darr lagta hai Ammi
Main us ghar kaise jao jis ghar me tum nahi ho Ammi.
Jis ghar ko hum shaan se meri Ammi ka ghar kehte the
aaj us ghar me sab kuch hai bas tum nahi ho Ammi
Main us ghar kaise jao , jis ghar me Tum nahi ho Ammi.